Dhal gai raat din nikal aaya
Dhal ga.ī raat din nikal aaya
ġham nayā pairahan badal aaya
is se pahle ki kuchh kahe saaqī
mai-kade se maiñ ḳhud hī Tal aaya
vo masā.il ḳhudā pe chhoḌ diye
kuchh samajh meñ na jin kā hal aaya
jis meñ ho merī aarzū tujh ko
kab mirī umr meñ vo pal aaya
aaj bhī kam na thā magar 'ġhamgīn'
anginat zaḳhm le ke kal aaya
Dhal gai raat din nikal aaya
gham naya pairahan badal aaya
is se pahle ki kuchh kahe saqi
mai-kade se main KHud hi Tal aaya
wo masail KHuda pe chhoD diye
kuchh samajh mein na jin ka hal aaya
jis mein ho meri aarzu tujh ko
kab meri umr mein wo pal aaya
aaj bhi kam na tha magar 'ghamgin'
anginat zaKHm le ke kal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.