Dhal gai raat kahkashan phir bhi
Dhal ga.ī raat kahkashāñ phir bhī
tū nahīñ terī dāstāñ phir bhī
umr guzrī hai dasht-o-sahrā meñ
ham ko lagtī hai gulsitāñ phir bhī
chalte chalte ġham-e-firāq kā tiir
rok letā hai ye kamāñ phir bhī
karb kī raat sho.ala-rū thī bahut
sub.h-dam ġham kī dāstāñ phir bhī
ab koī aag bhī nahīñ 'aḳhtar'
tap rahā hai mirā makāñ phir bhī
Dhal gai raat kahkashan phir bhi
tu nahin teri dastan phir bhi
umr guzri hai dasht-o-sahra mein
hum ko lagti hai gulsitan phir bhi
chalte chalte gham-e-firaq ka tir
rok leta hai ye kaman phir bhi
karb ki raat shoala-ru thi bahut
subh-dam gham ki dastan phir bhi
ab koi aag bhi nahin 'aKHtar'
tap raha hai mera makan phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.