Dhali jo raat bahut der muskurai saba
Dhalī jo raat bahut der muskurā.ī sabā
fazā ko de ke ga.ī aaj phir badhā.ī sabā
bhale hī aaj chaman ko tū raas aa.ī sabā
guloñ ke lab pe magar hai tirī burā.ī sabā
uThā ke haath duā māñgne lage haiñ charāġh
to kar rahī hai bhalā kaisī rahnumā.ī sabā
chaḌhī jo dhuup to dāman jhaTak diyā us ne
ufuq se karne lagī khul ke bevafā.ī sabā
mahak uThī hai tamanna bhī zaḳhm khāne kī
kaTār haath meñ le kar galī meñ aa.ī sabā
ġhubār zehn jigar meñ uThā diyā ġham kā
sitam ke shahr se sīdhe hī dil meñ aa.ī sabā
ajiib Dhang kī mastī hai in pahāḌoñ kī
badan par oḌh lī hañs kar kabhī bichā.ī sabā
gulāb ḳhvāb sitāre dhanak udaas charāġh
paḌī hai fasl-e-mohabbat kaTī-kaTā.ī sabā
na jaane kis ke ishāre pe rāt-din 'sāhil'
sunā rahī hai kahānī sunī-sunā.ī sabā
Dhali jo raat bahut der muskurai saba
faza ko de ke gai aaj phir badhai saba
bhale hi aaj chaman ko tu ras aai saba
gulon ke lab pe magar hai teri burai saba
uTha ke hath dua mangne lage hain charagh
to kar rahi hai bhala kaisi rahnumai saba
chaDhi jo dhup to daman jhaTak diya us ne
ufuq se karne lagi khul ke bewafai saba
mahak uThi hai tamanna bhi zaKHm khane ki
kaTar hath mein le kar gali mein aai saba
ghubar zehn jigar mein uTha diya gham ka
sitam ke shahr se sidhe hi dil mein aai saba
ajib Dhang ki masti hai in pahaDon ki
badan par oDh li hans kar kabhi bichai saba
gulab KHwab sitare dhanak udas charagh
paDi hai fasl-e-mohabbat kaTi-kaTai saba
na jaane kis ke ishaare pe raat-din 'sahil'
suna rahi hai kahani suni-sunai saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.