Dhalke Dhalke aansu Dhalke
Dhalke Dhalke aañsū Dhalke
chhalke chhalke sāġhar chhalke
dil ke taqāze un ke ishāre
bojhal bojhal halke halke
dekho dekho dāman uljhā
Thahro Thahro sāġhar chhalke
un kā taġhāful un kī tavajjoh
ik dil us par laakh tahalke
un kī tamannā un kī mohabbat
dekho sañbhāl ke dekho sañbhal ke
ġham ne uThā.e saikḌoñ tūfāñ
dil ne bisārā laakh machal ke
pal meñ hañsāo pal meñ rulāo
pal meñ ujāle pal meñ dhuñdalke
ham ne samjhā tum ne jaanā
dil ne machā.e laakh tahalke
laakh manāyā laakh bhulāyā
nain kaTore bhar bhar kar chhalke
kitne uljhe kitne sīdhe
raste un ke rañg-mahal ke
Dhalke Dhalke aansu Dhalke
chhalke chhalke saghar chhalke
dil ke taqaze un ke ishaare
bojhal bojhal halke halke
dekho dekho daman uljha
Thahro Thahro saghar chhalke
un ka taghaful un ki tawajjoh
ek dil us par lakh tahalke
un ki tamanna un ki mohabbat
dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke
gham ne uThae saikDon tufan
dil ne bisara lakh machal ke
pal mein hansao pal mein rulao
pal mein ujale pal mein dhundalke
hum ne samjha tum ne jaana
dil ne machae lakh tahalke
lakh manaya lakh bhulaya
nain kaTore bhar bhar kar chhalke
kitne uljhe kitne sidhe
raste un ke rang-mahal ke
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 69)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.