Dhalti raat kahan jaoge batlao baba
Dhaltī raat kahāñ jāoge batlāo baabā
bhor bha.e tak is kuTiyā meñ so jaao baabā
mere pyaar bichhaune kī sī mīThī mīThī tap
saarī duniyā ghūmo tab bhī na paao baabā
lamhe lamhe jiine vaale kal ko kyā jāneñ
merī maano aaj yahīñ par rah jaao baabā
jīvan mele meñ phir jaane kab mil paa.eñ ham
haath chhuḌā kar itnī jaldī mat jaao baabā
is ziddī bālak ne ḳhuuñ rulvāyā jīvan bhar
chandā mukh vaalo kuchh tum hī bahlāo baabā
yādoñ kī purvā.ī andar kaise riste haiñ
aashā ke chhāle mahrūmī ke ghaav baabā
Dhalti raat kahan jaoge batlao baba
bhor bhae tak is kuTiya mein so jao baba
mere pyar bichhaune ki si miThi miThi tap
sari duniya ghumo tab bhi na pao baba
lamhe lamhe jine wale kal ko kya jaanen
meri mano aaj yahin par rah jao baba
jiwan mele mein phir jaane kab mil paen hum
hath chhuDa kar itni jaldi mat jao baba
is ziddi baalak ne KHun rulwaya jiwan bhar
chanda mukh walo kuchh tum hi bahlao baba
yaadon ki purwai andar kaise riste hain
aasha ke chhaale mahrumi ke ghaw baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.