dhammal wo paDa ki badan past ho gaya
dhammāl vo paḌā ki badan past ho gayā
aa.ī jo mujh ko hijr kī bū mast ho gayā
sab tiir mere qalb se ho kar guzar ga.e
lekin vo ek tiir ki paivast ho gayā
phir ek baar daulat-e-dīdār de ki maiñ
ai bādshāh-e-husn tahī-dast ho gayā
vo fāsla abad se azal tak kā fāsla
niklā jo apne aap se ik jast ho gayā
ashkoñ kī ek aur baġhāvat kuchal ga.ī
āñkhoñ kā phir durust dar-o-bast ho gayā
jī bhī liyā na aa.ī mujhe maut jab talak
ye ek aur kaam sar-e-dast ho gayā
dhammal wo paDa ki badan past ho gaya
aai jo mujh ko hijr ki bu mast ho gaya
sab tir mere qalb se ho kar guzar gae
lekin wo ek tir ki paiwast ho gaya
phir ek bar daulat-e-didar de ki main
ai baadshah-e-husn tahi-dast ho gaya
wo fasla abad se azal tak ka fasla
nikla jo apne aap se ek jast ho gaya
ashkon ki ek aur baghawat kuchal gai
aankhon ka phir durust dar-o-bast ho gaya
ji bhi liya na aai mujhe maut jab talak
ye ek aur kaam sar-e-dast ho gaya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 86)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.