dhanak ke rang KHushbuon ke pairahan
dhanak ke rang ḳhushbuoñ ke pairahan
banā rahā huuñ ḳhaak se na.e badan
tumhārā dhyān koī mushk-bār ban
ye man kulāñche mārtā huā hiran
vo terī vus.ateñ samajh nahīñ sake
tujhe samajh liyā gayā faqat badan
ye kaisā vaqt dekhnā paḌā mujhe
mujhe jalā nahīñ rahī tirī chhuan
thirak uThī thī in laboñ par ik hañsī
tamām phuul khil uThe the daf.atan
badalte vaqt ne badal diyā mujhe
tamām vahshateñ banā gayā thakan
sharāb-e-ishq pī rahe haiñ shaiḳh jī
namāz-e-ishq paḌh rahe haiñ barhaman
maiñ be-hunar huuñ mujh meñ koī fan nahīñ
savāb-e-ishq hai mujhe fan-e-suḳhan
dhanak ke rang KHushbuon ke pairahan
bana raha hun KHak se nae badan
tumhaara dhyan koi mushk-bar ban
ye man kulanche marta hua hiran
wo teri wusaten samajh nahin sake
tujhe samajh liya gaya faqat badan
ye kaisa waqt dekhna paDa mujhe
mujhe jala nahin rahi teri chhuan
thirak uThi thi in labon par ek hansi
tamam phul khil uThe the dafatan
badalte waqt ne badal diya mujhe
tamam wahshaten bana gaya thakan
sharab-e-ishq pi rahe hain shaiKH ji
namaz-e-ishq paDh rahe hain barhaman
main be-hunar hun mujh mein koi fan nahin
sawab-e-ishq hai mujhe fan-e-suKHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.