dhanak lala shafaq jugnu sitara dekhta hai wo
dhanak laala shafaq jugnū sitāra dekhtā hai vo
sadā ḳhush-rang raushan isti.āra dekhtā hai vo
kabhī ḳhud aap apnā hausla pāyāb hone kā
kabhī hasrat se dariyā kā kināra dekhtā hai vo
ajab mutazād-hāsil kārobār-e-shauq hai us kā
ifāda sochtā hai to ḳhasāra dekhtā hai vo
zamāna mahv-e-hairat hai ki bujhtī raakh ke andar
havā de de ke āḳhir kyā sharāra dekhtā hai vo
abhī to shaam ke saa.e bhī mahrā.e na āñkhoñ meñ
abhī se āḳhir-e-shab kā sitāra dekhtā hai vo
shajar jis se koī ummīd-e-barg-o-bār bar aatī
usī pe zard mausam kā ijāra dekhtā hai vo
jahāñ us ne banā rakkhā hai kāġhaz kā makāñ 'shahzād'
usī jānib havāoñ kā ishāra dekhtā hai vo
dhanak lala shafaq jugnu sitara dekhta hai wo
sada KHush-rang raushan istiara dekhta hai wo
kabhi KHud aap apna hausla payab hone ka
kabhi hasrat se dariya ka kinara dekhta hai wo
ajab mutazad-hasil karobar-e-shauq hai us ka
ifada sochta hai to KHasara dekhta hai wo
zamana mahw-e-hairat hai ki bujhti rakh ke andar
hawa de de ke aaKHir kya sharara dekhta hai wo
abhi to sham ke sae bhi mahrae na aankhon mein
abhi se aaKHir-e-shab ka sitara dekhta hai wo
shajar jis se koi ummid-e-barg-o-bar bar aati
usi pe zard mausam ka ijara dekhta hai wo
jahan us ne bana rakkha hai kaghaz ka makan 'shahzad'
usi jaanib hawaon ka ishaara dekhta hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.