dharti kaTe ambar kaTe
dhartī kaaTe ambar kaaTe
tum bin har ik manzar kaaTe
us paapī kā mantar kaaTe
koī piir payāmbar kaaTe
pyaar meñ duniyā billī ban kar
merā rasta aksar kaaTe
fasl-e-mohabbat kī dīvānī
din bhar bo.e shab bhar kaaTe
rone ke din bhī aa.e the
lekin ham ne hañs kar kaaTe
tujh bin mujh ko niiñd na aa.e
rain Dase aur bistar kaaTe
dete ho tum jin kī duhā.ī
vo din ham ne aksar kaaTe
ik zālim shamshīr-ba-kaf hai
dekho kis kis kā sar kaaTe
dharti kaTe ambar kaTe
tum bin har ek manzar kaTe
us papi ka mantar kaTe
koi pir payambar kaTe
pyar mein duniya billi ban kar
mera rasta aksar kaTe
fasl-e-mohabbat ki diwani
din bhar boe shab bhar kaTe
rone ke din bhi aae the
lekin hum ne hans kar kaTe
tujh bin mujh ko nind na aae
rain Dase aur bistar kaTe
dete ho tum jin ki duhai
wo din hum ne aksar kaTe
ek zalim shamshir-ba-kaf hai
dekho kis kis ka sar kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.