dharti ki zaban sukh gai zard hui ghas
dhartī kī zabāñ suukh ga.ī zard huī ghaas
ākāsh se imsāl utartī hai faqat pyaas
ābād huī shaam kī raunaq mire ghar meñ
saḌkoñ pe bhaTaknā mujhe kyoñ aa.egā ab raas
hāthoñ meñ hai fursat ki guthā ziist kā lachchhā
yāroñ kā sar-e-shām huā lawn pe ijlās
ab jā.ūñ kahāñ chhat se Tapaktī haiñ balā.eñ
ab kis kā bharosā huā ghar ghar se nahīñ aas
manzar haiñ sabhī mere dil-e-bīnā pe raushan
ġhurbat meñ mirā shahr bhī hotā hai mire paas
dharti ki zaban sukh gai zard hui ghas
aakash se imsal utarti hai faqat pyas
aabaad hui sham ki raunaq mere ghar mein
saDkon pe bhaTakna mujhe kyon aaega ab ras
hathon mein hai fursat ki gutha zist ka lachchha
yaron ka sar-e-sham hua lawn pe ijlas
ab jaun kahan chhat se Tapakti hain balaen
ab kis ka bharosa hua ghar ghar se nahin aas
manzar hain sabhi mere dil-e-bina pe raushan
ghurbat mein mera shahr bhi hota hai mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.