dharti ko gagan nahin karoge
dhartī ko gagan nahīñ karoge
milne kā jatan nahīñ karoge
dekho mujhe ziist kar rahā huuñ
tum pyaar sajan nahīñ karoge
ab raat udaas ho chalī hai
chupke se suḳhan nahīñ karoge
rahtā nahīñ bas meñ dil hamārā
qaabū ye hiran nahīñ karoge
tasvīr to ban chukī tumhārī
ab do do bachan nahīñ karoge
phūloñ se kalām kar rahe ho
bulbul se suḳhan nahīñ karoge
bas ek zarā sā dhyān de kar
mastoñ ko magan nahīñ karoge
sakhiyāñ sabhī ho chukīñ parā.ī
tum ham se lagan nahīñ karoge
ik tarz-e-suḳhan 'sanā' ne dī hai
tā.īd-e-suḳhan nahīñ karoge
dharti ko gagan nahin karoge
milne ka jatan nahin karoge
dekho mujhe zist kar raha hun
tum pyar sajan nahin karoge
ab raat udas ho chali hai
chupke se suKHan nahin karoge
rahta nahin bas mein dil hamara
qabu ye hiran nahin karoge
taswir to ban chuki tumhaari
ab do do bachan nahin karoge
phulon se kalam kar rahe ho
bulbul se suKHan nahin karoge
bas ek zara sa dhyan de kar
maston ko magan nahin karoge
sakhiyan sabhi ho chukin parai
tum hum se lagan nahin karoge
ek tarz-e-suKHan 'sana' ne di hai
taid-e-suKHan nahin karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.