dharti ko main git sunaya karta hun
dhartī ko maiñ giit sunāyā kartā huuñ
peḌ parinde roz nachāyā kartā huuñ
miTTī bhī labbaik pukārā kartī hai
jab zālim se aañkh milāyā kartā huuñ
tere ishq ne mujh ko fan ye baḳhshā hai
paanī pe tasvīr banāyā kartā huuñ
itnī taab kahāñ hai bekas āñkhoñ meñ
sahrā meñ ab ḳhvāb sulāyā kartā huuñ
aksar peḌ ke saa.e baiTh ke us ko maiñ
vāris shaah kī hiir sunāyā kartā huuñ
kuchh din se to niiñd bhī rūThī rūThī hai
shab bhar us ko roz manāyā kartā huuñ
'tāriq' rashk farishte karne lagte haiñ
jab bhī maañ ke pair dabāyā kartā huuñ
dharti ko main git sunaya karta hun
peD parinde roz nachaya karta hun
miTTi bhi labbaik pukara karti hai
jab zalim se aankh milaya karta hun
tere ishq ne mujh ko fan ye baKHsha hai
pani pe taswir banaya karta hun
itni tab kahan hai bekas aankhon mein
sahra mein ab KHwab sulaya karta hun
aksar peD ke sae baiTh ke us ko main
waris shah ki hir sunaya karta hun
kuchh din se to nind bhi ruThi ruThi hai
shab bhar us ko roz manaya karta hun
'tariq' rashk farishte karne lagte hain
jab bhi man ke pair dabaya karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.