dharti par jab KHun bahta hai baadal rone lagta hai
dhartī par jab ḳhuuñ bahtā hai bādal rone lagtā hai
dekh ke shahroñ kī vīrānī jangal rone lagtā hai
laakh kare vo zabt kā da.avā vaqt-e-ruḳhsat sab be-kār
āñkheñ chāheñ ro.eñ na ro.eñ kājal rone lagtā hai
beTī kī zid ke aage maañ chup ho jaatī hai lekin
nange sar kī mahrūmī par āñchal rone lagtā hai
ḳhushbū ḳhushbū lipTe rahnā sāñpoñ kī majbūrī hai
varna apnī be-qadrī par sandal rone lagtā hai
tujh se bichhaḌ kar ġhair ke aage ro.e hoñ to ham mujrim
dil kā kyā hai dil pāgal hai pāgal rone lagtā hai
dharti par jab KHun bahta hai baadal rone lagta hai
dekh ke shahron ki virani jangal rone lagta hai
lakh kare wo zabt ka dawa waqt-e-ruKHsat sab be-kar
aankhen chahen roen na roen kajal rone lagta hai
beTi ki zid ke aage man chup ho jati hai lekin
nange sar ki mahrumi par aanchal rone lagta hai
KHushbu KHushbu lipTe rahna sanpon ki majburi hai
warna apni be-qadri par sandal rone lagta hai
tujh se bichhaD kar ghair ke aage roe hon to hum mujrim
dil ka kya hai dil pagal hai pagal rone lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.