Dher sari KHushi wo lata hai
Dher saarī ḳhushī vo laatā hai
mere dāman meñ bhar ke jaatā hai
chāñd ḳhushbū havā sitāre gul
khil uThe jab vo gungunātā hai
kaun sā yaar kyuuñ pareshān hai
ek pal meñ vo jaan jaatā hai
zarra zarra chamakne lagtā hai
ik nazar vo nazar jo aatā hai
us kī āñkhoñ meñ puurī duniyā hai
jo bhī bhūlā ho raah paatā hai
har udāsī kā qatl hotā hai
jab mirā dost muskurātā hai
Dher sari KHushi wo lata hai
mere daman mein bhar ke jata hai
chand KHushbu hawa sitare gul
khil uThe jab wo gungunata hai
kaun sa yar kyun pareshan hai
ek pal mein wo jaan jata hai
zarra zarra chamakne lagta hai
ek nazar wo nazar jo aata hai
us ki aankhon mein puri duniya hai
jo bhi bhula ho rah pata hai
har udasi ka qatl hota hai
jab mera dost muskuraata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.