dhimi dhimi aanch pe gham ki dil ka lahu kam jalta hai
dhimi dhimi aanch pe gham ki dil ka lahu kam jalta hai
Talha Rizvi Barq
MORE BYTalha Rizvi Barq
dhīmī dhīmī aañch pe ġham kī dil kā lahū kam jaltā hai
bhīgī palkoñ ke saa.e meñ dīda-e-pur-nam jaltā hai
kūcha-e-jānāñ meñ shab-e-ġham ik sham-e-vafā bhī yuuñ na jalī
mere dahān-e-zaḳhm pe jaise pamba-e-marham jaltā hai
garche dil-e-zinda hai mirā ab shahr-e-ḳhamoshāñ kī tasvīr
ek charāġh-e-hasrat-e-pāmāl aaj bhī har dam jaltā hai
phuul khile haiñ gulshan meñ yā aag lagī hai chaar taraf
taḳhta-e-gul ke sho.aloñ par hī gauhar-e-shabnam jaltā hai
barbat-e-hastī ko ishq apnā zaḳhma-e-ḳhush-āhang huā
'barq' yahāñ ḳhāmosh laboñ par husn ke sargam jaltā hai
dhimi dhimi aanch pe gham ki dil ka lahu kam jalta hai
bhigi palkon ke sae mein dida-e-pur-nam jalta hai
kucha-e-jaanan mein shab-e-gham ek sham-e-wafa bhi yun na jali
mere dahan-e-zaKHm pe jaise pamba-e-marham jalta hai
garche dil-e-zinda hai mera ab shahr-e-KHamoshan ki taswir
ek charagh-e-hasrat-e-pamal aaj bhi har dam jalta hai
phul khile hain gulshan mein ya aag lagi hai chaar taraf
taKHta-e-gul ke shoalon par hi gauhar-e-shabnam jalta hai
barbat-e-hasti ko ishq apna zaKHma-e-KHush-ahang hua
'barq' yahan KHamosh labon par husn ke sargam jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.