dhire dhire bol raha hai
dhīre dhīre bol rahā hai
zahr fazā meñ ghol rahā hai
aaj nahīñ hai qīmat us kī
kal tak jo anmol rahā hai
baat hai us kī jhūTī lekin
zor se kitnā bol rahā hai
miTTī miTTī karne vaalā
sonā chāñdī tol rahā hai
bech diyā hai desh ko us ne
bachcha bachcha bol rahā hai
dhire dhire bol raha hai
zahr faza mein ghol raha hai
aaj nahin hai qimat us ki
kal tak jo anmol raha hai
baat hai us ki jhuTi lekin
zor se kitna bol raha hai
miTTi miTTi karne wala
sona chandi tol raha hai
bech diya hai desh ko us ne
bachcha bachcha bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.