dhuen ki oT se bahar bhi aa gaya hota
dhueñ kī oT se bāhar bhī aa gayā hotā
hamāre saath agar rishta-e-havā hotā
use bhī sho.alagī-e-rabt kī shikāyat thī
sulagtī aañkh kī darzoñ meñ aur kyā hotā
jahāñ na peḌ uge the na aag hī barsī
vahāñ hamāre liye kaun sā ḳhudā hotā
maiñ ehtijāj se bāhar bhī sochtā shāyad
shab-e-farār agar koī dar khulā hotā
taḌap nahīñ na sahī ḳhair-maqdamī ke liye
tirā tapāk na hotā tirā gilā hotā
dhuen ki oT se bahar bhi aa gaya hota
hamare sath agar rishta-e-hawa hota
use bhi shoalagi-e-rabt ki shikayat thi
sulagti aankh ki darzon mein aur kya hota
jahan na peD uge the na aag hi barsi
wahan hamare liye kaun sa KHuda hota
main ehtijaj se bahar bhi sochta shayad
shab-e-farar agar koi dar khula hota
taDap nahin na sahi KHair-maqdami ke liye
tera tapak na hota tera gila hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.