dhoka hai agar aankh mein qatil ki nami hai
dhoka hai agar aankh mein qatil ki nami hai
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
dhoka hai agar aañkh meñ qātil kī namī hai
sho'loñ pe kahīñ aaj talak barf jamī hai
pattoñ kī sadā.eñ haiñ ki majbūr kā nauha
par mere daraḳhtoñ se havā bāñdh ga.ī hai
yā to mirī bastī ke sabhī log haiñ andhe
yā halqa-e-āfāq meñ sūraj kī kamī hai
har shaḳhs hai mahrūm yahāñ fikr-e-rasā se
fitrat meñ abhī tak vahī shorīda-sarī hai
rū-posh nigāhoñ se hai hangāma-e-fardā
ā.īna-e-idrāk pe bhī gard jamī hai
vo quvvat-e-bāzū hai na himmat na shujā'at
talvār paḌī apnā hī dam chaaT rahī hai
kavvoñ se laraztā hai abābīl kā lashkar
shāhīn kī taqdīr meñ be-bāl-o-parī hai
ab vā'iz-o-zāhid haiñ baham dast-o-garebāñ
ik jang-e-jamal aaj masājid meñ chhiḌī hai
jo rāñda-e-dargāh the vo taḳht-nashīñ haiñ
me'yār-e-faqīrī nahīñ daryūza-garī hai
fir’aun kī aulād ga.ī shams-o-qamar tak
aur āl-e-nabī niil ke sāhil pe khaḌī hai
iblīs bhī paanī ke liye dauḌ rahā hai
lagtā hai ki dozaḳh meñ kahīñ aag lagī hai
sachchā.ī se us shaḳhs kī derīna 'adāvat
tārīḳh ko dīmak kī tarah chaaT rahī hai
āñdhī to uḌā le ga.ī kāshāna-e-muflis
zālim kī havelī abhī mahfūz khaḌī hai
sailāb jo aaya use sahrā ne dabochā
bijlī bhī kahīñ jā ke samundar meñ girī hai
ham-sāya uThā laatā hai ghar meñ man-o-salvā
par merī anā hai ki mujhe rok rahī hai
dhoka hai agar aankh mein qatil ki nami hai
sho'lon pe kahin aaj talak barf jami hai
patton ki sadaen hain ki majbur ka nauha
par mere daraKHton se hawa bandh gai hai
ya to meri basti ke sabhi log hain andhe
ya halqa-e-afaq mein suraj ki kami hai
har shaKHs hai mahrum yahan fikr-e-rasa se
fitrat mein abhi tak wahi shorida-sari hai
ru-posh nigahon se hai hangama-e-farda
aaina-e-idrak pe bhi gard jami hai
wo quwwat-e-bazu hai na himmat na shuja'at
talwar paDi apna hi dam chaT rahi hai
kawwon se larazta hai ababil ka lashkar
shahin ki taqdir mein be-baal-o-pari hai
ab wa'iz-o-zahid hain baham dast-o-gareban
ek jang-e-jamal aaj masajid mein chhiDi hai
jo randa-e-dargah the wo taKHt-nashin hain
me'yar-e-faqiri nahin daryuza-gari hai
fir’aun ki aulad gai shams-o-qamar tak
aur aal-e-nabi nil ke sahil pe khaDi hai
iblis bhi pani ke liye dauD raha hai
lagta hai ki dozaKH mein kahin aag lagi hai
sachchai se us shaKHs ki derina 'adawat
tariKH ko dimak ki tarah chaT rahi hai
aandhi to uDa le gai kashana-e-muflis
zalim ki haweli abhi mahfuz khaDi hai
sailab jo aaya use sahra ne dabocha
bijli bhi kahin ja ke samundar mein giri hai
ham-saya uTha lata hai ghar mein man-o-salwa
par meri ana hai ki mujhe rok rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.