dhoka hai us ka jaanib-e-aghyar dekhna
dhokā hai us kā jānib-e-aġhyār dekhnā
jab ham na hoñ to rañg-e-ruḳh-e-yār dekhnā
tujh se bichhaḌnā yuuñ bhī qayāmat se kam na thā
is par tirā palaT ke vo ik baar dekhnā
apne ġhamoñ kā bojh uThā apne dosh par
tauhīn-e-ġham hai jānib-e-ġham-ḳhvār dekhnā
vo shakl ek ḳhvāb thī aur ḳhvāb ḳhvāb hai
kab tak ye ḳhvāb dīda-e-bedār dekhnā
rahte haiñ shahr-e-sañg meñ shīshe kā dil liye
logo hamārā jazba-e-īsār dekhnā
'ābid' qadam to maqtal-e-fan kī taraf baḌhā
kitne haiñ tere sar ke talabgār dekhnā
dhoka hai us ka jaanib-e-aghyar dekhna
jab hum na hon to rang-e-ruKH-e-yar dekhna
tujh se bichhaDna yun bhi qayamat se kam na tha
is par tera palaT ke wo ek bar dekhna
apne ghamon ka bojh uTha apne dosh par
tauhin-e-gham hai jaanib-e-gham-KHwar dekhna
wo shakl ek KHwab thi aur KHwab KHwab hai
kab tak ye KHwab dida-e-bedar dekhna
rahte hain shahr-e-sang mein shishe ka dil liye
logo hamara jazba-e-isar dekhna
'abid' qadam to maqtal-e-fan ki taraf baDha
kitne hain tere sar ke talabgar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.