dhoke ne mujhko ishq mein kya kya sikha diya
dhoke ne mujh ko ishq meñ kyā kyā sikhā diyā
girnā sikhā diyā hai sambhalnā sikhā diyā
rotī thiiñ zār-zār ye va.ade ne aap ke
āñkhoñ ko intizār bhī karnā sikhā diyā
sūraj kī tez dhuup baḌā kaam kar ga.ī
ḳhvāboñ ke dā.ere se nikalnā sikhā diyā
apnoñ kī Thokaroñ ne girāyā thā bārhā
ġhairoñ ne sīdhī raah pe chalnā sikhā diyā
'santosh' kā kiyā maiñ karūñ shukr kis tarah
mujh ko bhī dostī kā salīqa sikhā diyā
dhoke ne mujh ko ishq mein kya kya sikha diya
girna sikha diya hai sambhalna sikha diya
roti thin zar-zar ye wade ne aap ke
aankhon ko intizar bhi karna sikha diya
suraj ki tez dhup baDa kaam kar gai
KHwabon ke daere se nikalna sikha diya
apnon ki Thokaron ne giraya tha barha
ghairon ne sidhi rah pe chalna sikha diya
'santosh' ka kiya main karun shukr kis tarah
mujh ko bhi dosti ka saliqa sikha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.