Dhol ki thap pe raqs kunan hai jhunD ek ThanDi chhanw ka
Dhol kī thaap pe raqs kunāñ hai jhunD ik ThanDī chhāñv kā
haaḌ mahīne aan lagā hai mela mere gaañv kā
mire vujūd meñ dhartī jaisī hariyālī bhī ḳhushkī bhī
maiñ dariyā kā beTā huuñ aur bāshinda sahrāoñ kā
kitnī lok kathā.eñ mere kamre meñ ab bikhrī haiñ
raat kī raat musāfir Thahrā an-dekhī duniyāoñ kā
ek buzurg kahā karte the har barsāt ke mausam meñ
ab kī baar nahīñ hai vaisā andhā zor havāoñ kā
kaun takegā jangal jangal phailī piilī beloñ ko
kaun sunegā aa kar nauha in sūkhe dariyāoñ kā
qabristān ke ek mazār pe jab se dhāgā bāñdhā hai
ummīdoñ ke bor se jhorā apnā peḌ du'āoñ kā
raat ke sannāTe meñ 'qāsim' kaan lage darvāze ko
aur galī meñ āhista se baḌhtā shor khaḌāoñ kā
Dhol ki thap pe raqs kunan hai jhunD ek ThanDi chhanw ka
haD mahine aan laga hai mela mere ganw ka
mere wujud mein dharti jaisi hariyali bhi KHushki bhi
main dariya ka beTa hun aur bashinda sahraon ka
kitni lok kathaen mere kamre mein ab bikhri hain
raat ki raat musafir Thahra an-dekhi duniyaon ka
ek buzurg kaha karte the har barsat ke mausam mein
ab ki bar nahin hai waisa andha zor hawaon ka
kaun takega jangal jangal phaili pili belon ko
kaun sunega aa kar nauha in sukhe dariyaon ka
qabristan ke ek mazar pe jab se dhaga bandha hai
ummidon ke bor se jhora apna peD du'aon ka
raat ke sannaTe mein 'qasim' kan lage darwaze ko
aur gali mein aahista se baDhta shor khaDaon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.