Dhote Dhote salib duniya mein
Dhote Dhote salīb duniyā meñ
ho ga.e ham ajiib duniyā meñ
maut kī raah nāpne ke liye
umr kī hai jarīb duniyā meñ
pattharoñ par hamesha likkhe ga.e
ā.inoñ ke nasīb duniyā meñ
merī bastī meñ jhāñk kar dekho
jī rahe haiñ ġharīb duniyā meñ
ḳhud se nikleñ to jaa.eñ ham 'bebāk'
dūsroñ ke qarīb duniyā meñ
Dhote Dhote salib duniya mein
ho gae hum ajib duniya mein
maut ki rah napne ke liye
umr ki hai jarib duniya mein
pattharon par hamesha likkhe gae
aainon ke nasib duniya mein
meri basti mein jhank kar dekho
ji rahe hain gharib duniya mein
KHud se niklen to jaen hum 'bebak'
dusron ke qarib duniya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.