dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh
dhuāñ dhuāñ hai ġham-e-gardish-e-safar se charāġh
ajiib sahme hue haiñ havā ke Dar se charāġh
ajab tilism-kada hai ye jabr fitrat kā
ki raushnī meñ rahe raushnī ko tarse charāġh
ye ḳhāmushī kā bayābāñ ye shab kā koh-e-sukūt
ye ḳhvāb ḳhvāb sā manzar ye be-ḳhabar hai charāġh
ye vaqt aisā samundar ki jis ke dāman meñ
sadaf sadaf sī haiñ rāteñ guhar guhar se charāġh
mirī ragoñ meñ lahū kī shuā ho ki na ho
hazār-hā haiñ farozāñ mire hunar se charāġh
maiñ kyā dikhā.ūñ urūs-e-ġhazal kā rang-e-jamāl
abhī 'ayāz' bahut duur hai nazar se charāġh
dhuan dhuan hai gham-e-gardish-e-safar se charagh
ajib sahme hue hain hawa ke Dar se charagh
ajab tilism-kada hai ye jabr fitrat ka
ki raushni mein rahe raushni ko tarse charagh
ye KHamushi ka bayaban ye shab ka koh-e-sukut
ye KHwab KHwab sa manzar ye be-KHabar hai charagh
ye waqt aisa samundar ki jis ke daman mein
sadaf sadaf si hain raaten guhar guhar se charagh
meri ragon mein lahu ki shua ho ki na ho
hazar-ha hain farozan mere hunar se charagh
main kya dikhaun urus-e-ghazal ka rang-e-jamal
abhi 'ayaz' bahut dur hai nazar se charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.