dhuan-dhuan hai sar-e-asman KHuda-hafiz
dhuāñ-dhuāñ hai sar-e-āsmāñ ḳhudā-hāfiz
dhaḌak rahā hai dil-e-nā-tavāñ ḳhudā-hāfiz
na koī mīr-e-safar hai na koī manzil hai
bhaTak rahā hai mirā kārvāñ ḳhudā-hāfiz
na iltifāt na pursish na vāsta na kalām
vo ho ga.e haiñ bahut bad-gumāñ ḳhudā-hāfiz
na jaane ahl-e-vafā par ab aur kyā guzre
badal rahā hai nizām-e-jahāñ ḳhudā-hāfiz
chalā thā saath magar raat ke añdhere meñ
bichhaḌ gayā vo kahīñ mehrbāñ ḳhudā-hāfiz
bharī bahār meñ ye haal hai gulistāñ kā
muhīt rahtī hai har dam ḳhizāñ ḳhudā-hāfiz
'jamīl' yaad hai ab tak ki dīda-e-tar se
kahā thā us ne tah-e-sā.ebāñ ḳhudā-hāfiz
dhuan-dhuan hai sar-e-asman KHuda-hafiz
dhaDak raha hai dil-e-na-tawan KHuda-hafiz
na koi mir-e-safar hai na koi manzil hai
bhaTak raha hai mera karwan KHuda-hafiz
na iltifat na pursish na wasta na kalam
wo ho gae hain bahut bad-guman KHuda-hafiz
na jaane ahl-e-wafa par ab aur kya guzre
badal raha hai nizam-e-jahan KHuda-hafiz
chala tha sath magar raat ke andhere mein
bichhaD gaya wo kahin mehrban KHuda-hafiz
bhari bahaar mein ye haal hai gulistan ka
muhit rahti hai har dam KHizan KHuda-hafiz
'jamil' yaad hai ab tak ki dida-e-tar se
kaha tha us ne tah-e-saeban KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.