dhuan dhuan sabhi manzar dikhai dete hain
dhuāñ dhuāñ sabhī manzar dikhā.ī dete haiñ
mujhe sulagte hue ghar dikhā.ī dete haiñ
mudāfa'at kā salīqa bhī ḳhūb-tar hai ye
har ek haath meñ patthar dikhā.ī dete haiñ
'azīz haiñ jo dil-o-jāñ se bhī mujhe baḌh kar
sadā vahī to sitamgar dikhā.ī dete haiñ
nazar uThātī huuñ jab apne ḳhema-e-jāñ par
qadam qadam baḌe mahshar dikhā.ī dete haiñ
qarīb jā.ūñ to sahrā kī misl haiñ vo bhī
tirī nazar meñ jo sāgar dikhā.ī dete haiñ
ye nā-rasā.ī ke saare añdhere mujh tak haiñ
jo duur se mah-o-aḳhtar dikhā.ī dete haiñ
kabhī to the vahī taskīn-e-jāñ kā pahlū bhī
jo bazm-e-ġhair meñ aksar dikhā.ī dete haiñ
mujhī pe 'azrā' musallat hai pyaas kā sahrā
qadam qadam pe samundar dikhā.ī dete haiñ
dhuan dhuan sabhi manzar dikhai dete hain
mujhe sulagte hue ghar dikhai dete hain
mudafa'at ka saliqa bhi KHub-tar hai ye
har ek hath mein patthar dikhai dete hain
'aziz hain jo dil-o-jaan se bhi mujhe baDh kar
sada wahi to sitamgar dikhai dete hain
nazar uThati hun jab apne KHema-e-jaan par
qadam qadam baDe mahshar dikhai dete hain
qarib jaun to sahra ki misl hain wo bhi
teri nazar mein jo sagar dikhai dete hain
ye na-rasai ke sare andhere mujh tak hain
jo dur se mah-o-aKHtar dikhai dete hain
kabhi to the wahi taskin-e-jaan ka pahlu bhi
jo bazm-e-ghair mein aksar dikhai dete hain
mujhi pe 'azra' musallat hai pyas ka sahra
qadam qadam pe samundar dikhai dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.