dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujhko
dhuāñ sifat huuñ ḳhalāoñ kā hai safar mujh ko
uḌā rahī haiñ havā.eñ idhar udhar mujh ko
maiñ us kī aañkh se gir kar vajūd kho baiThā
vo DhūñDhtā hai bhalā kyuuñ Dagar Dagar mujh ko
javāñ hoñ hausle jis ke vo mere saath chale
kaḌaktī dhuup meñ sahrā kā hai safar mujh ko
badan ko chhoḌ ke terī talāsh meñ niklā
na rok pā.eñge raste meñ bahr-o-bar mujh ko
abhī kuchh aur tirī justujū rulā.egī
abhī kuchh aur bhaTaknā hai dar-ba-dar mujh ko
vo shoḳh shoḳh sī panhāriyāñ kidhar ko ga.iiñ
udaas kar ga.ī panghaT kī rahguzar mujh ko
junūñ ke adnā ishāre pe chauñk jaatā huuñ
ḳhirad kī baat kā hotā nahīñ asar mujh ko
maiñ āsmāñ kī bulandī ko rauñd aayā huuñ
zamīn vāloñ ne samjhā shikasta-par mujh ko
usī ne yaad dilā.ī hai aaj gautam kī
rishī lagā hai ye sūkhā huā shajar mujh ko
miTā rahe haiñ mujhe mere qārī-o-nāqid
kisī ne samjhā kahāñ harf-e-mo'tabar mujh ko
maiñ apne vaqt kā mansūr bhī nahīñ 'hasrat'
ye log kis liye laa.e haiñ daar par mujh ko
dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujh ko
uDa rahi hain hawaen idhar udhar mujh ko
main us ki aankh se gir kar wajud kho baiTha
wo DhunDhta hai bhala kyun Dagar Dagar mujh ko
jawan hon hausle jis ke wo mere sath chale
kaDakti dhup mein sahra ka hai safar mujh ko
badan ko chhoD ke teri talash mein nikla
na rok paenge raste mein bahr-o-bar mujh ko
abhi kuchh aur teri justuju rulaegi
abhi kuchh aur bhaTakna hai dar-ba-dar mujh ko
wo shoKH shoKH si panhaariyan kidhar ko gain
udas kar gai panghaT ki rahguzar mujh ko
junun ke adna ishaare pe chaunk jata hun
KHirad ki baat ka hota nahin asar mujh ko
main aasman ki bulandi ko raund aaya hun
zamin walon ne samjha shikasta-par mujh ko
usi ne yaad dilai hai aaj gautam ki
rishi laga hai ye sukha hua shajar mujh ko
miTa rahe hain mujhe mere qari-o-naqid
kisi ne samjha kahan harf-e-mo'tabar mujh ko
main apne waqt ka mansur bhi nahin 'hasrat'
ye log kis liye lae hain dar par mujh ko
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 42)
- Author : Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari,Author Ajeet Singh 'Hasrat'
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.