dhuan uDate hue din ko raat karte hue
dhuāñ uḌāte hue din ko raat karte hue
malañg aag se tathīr-e-zāt karte hue
kahā to thā ye amānat sambhāl kar rakhnā
hamārī nazr vo kul kā.enāt karte hue
maiñ ek jañg ḳhud apne ḳhilāf laḌtā huā
tamām azv-e-badan mujh se ghaat karte hue
ki ham bane hī na the ek dūsre ke liye
ab is yaqīn ko jiinā hayāt karte hue
har ek qaid se āzād bandishoñ se pare
hasīn log hasīñ vārdāt karte hue
agarche kaam thā mushkil magar maza aayā
kashīd zahr se āb-e-hayāt karte hue
dhuan uDate hue din ko raat karte hue
malang aag se tathir-e-zat karte hue
kaha to tha ye amanat sambhaal kar rakhna
hamari nazr wo kul kaenat karte hue
main ek jang KHud apne KHilaf laDta hua
tamam azw-e-badan mujh se ghat karte hue
ki hum bane hi na the ek dusre ke liye
ab is yaqin ko jina hayat karte hue
har ek qaid se aazad bandishon se pare
hasin log hasin wardat karte hue
agarche kaam tha mushkil magar maza aaya
kashid zahr se aab-e-hayat karte hue
- Book : Jahaan Gard (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.