dhuen ki zad mein ab sara jahan hai
dhueñ kī zad meñ ab saarā jahāñ hai
ye duniyā hai ki ye ātish-fishāñ hai
har ik dil meñ ġhamoñ kā hai baserā
ḳhushī kā to nahīñ miltā nishāñ hai
har ik bande kī āñkhoñ meñ namī hai
har ik lab par bhī āvāz-e-fuġhāñ hai
paroñ meñ tāqat-e-parvāz ho to
nahīñ kuchh duur tujh se āsmāñ hai
chalo 'sāġhar' ḳhalā meñ ghar banā.eñ
zamīñ rahne ke qābil ab kahāñ hai
dhuen ki zad mein ab sara jahan hai
ye duniya hai ki ye aatish-fishan hai
har ek dil mein ghamon ka hai basera
KHushi ka to nahin milta nishan hai
har ek bande ki aankhon mein nami hai
har ek lab par bhi aawaz-e-fughan hai
paron mein taqat-e-parwaz ho to
nahin kuchh dur tujh se aasman hai
chalo 'saghar' KHala mein ghar banaen
zamin rahne ke qabil ab kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.