dhuen mein Dube hain phul tare charagh jugnu chinar kaise
dhuen mein Dube hain phul tare charagh jugnu chinar kaise
Athar Saleemi
MORE BYAthar Saleemi
dhueñ meñ Duube haiñ phuul taare charāġh jugnū chinār kaise
na.ī rutoñ ke uḌan khaToloñ pe aa rahe haiñ savār kaise
maiñ apne āñgan kī zard miTTī pe baiThā pahroñ ye sochtā huuñ
dabīz shīshe kī khiḌkiyoñ meñ ugī thī shāḳh-e-anār kaise
chalo ye maanā ki mere ghar kī ghuTī ghuTī sī fazā thī lekin
tirī muñDeroñ kī Dāliyoñ par bujhī diyoñ kī qatār kaise
likhā hai juġhrāfiyoñ meñ sab kuchh magar kisī ne na ye batāyā
khiñchī falak kī qanāt kyūñkar banā zamīñ kā mazār kaise
adhūre ḳhāke meñ rang bhar luuñ ga.e dinoñ kā hisāb kar luuñ
magar jo tere baġhair guzre karūñ vo lamhe shumār kaise
ujaaḌ fasleñ hanūt saa.e makān Tiile sarāb galiyāñ
utar ke paanī banā gayā hai zamīñ pe naqsh-o-nigār kaise
junūñ kī andhī havā ne 'at.har' ḳhamosh ġhurfoñ ko lab diye haiñ
sadā banā hai galī galī meñ mire lahū kā fishār kaise
dhuen mein Dube hain phul tare charagh jugnu chinar kaise
nai ruton ke uDan khaTolon pe aa rahe hain sawar kaise
main apne aangan ki zard miTTi pe baiTha pahron ye sochta hun
dabiz shishe ki khiDkiyon mein ugi thi shaKH-e-anar kaise
chalo ye mana ki mere ghar ki ghuTi ghuTi si faza thi lekin
teri munDeron ki Daliyon par bujhi diyon ki qatar kaise
likha hai jughrafiyon mein sab kuchh magar kisi ne na ye bataya
khinchi falak ki qanat kyunkar bana zamin ka mazar kaise
adhure KHake mein rang bhar lun gae dinon ka hisab kar lun
magar jo tere baghair guzre karun wo lamhe shumar kaise
ujaD faslen hanut sae makan Tile sarab galiyan
utar ke pani bana gaya hai zamin pe naqsh-o-nigar kaise
junun ki andhi hawa ne 'athar' KHamosh ghurfon ko lab diye hain
sada bana hai gali gali mein mere lahu ka fishaar kaise
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 562)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.