dhuen mein uD gain sansen cigar KHatm hua
dhueñ meñ uḌ ga.iiñ sāñseñ cigar ḳhatm huā
isī ke saath tirā intizār ḳhatm huā
badan se kar ke alag ruuh ko jahāñ vaale
ye soch lete haiñ duniyā se pyaar ḳhatm huā
tumhārā husn bhī phīkā paḌā ai māh-jabīñ
mirā bhī āshiqoñ meñ ab shumār ḳhatm huā
kisī ne hoñToñ pe rakh dī haiñ uñgliyāñ apnī
ab is se aage mirā iḳhtiyār ḳhatm huā
dhuen mein uD gain sansen cigar KHatm hua
isi ke sath tera intizar KHatm hua
badan se kar ke alag ruh ko jahan wale
ye soch lete hain duniya se pyar KHatm hua
tumhaara husn bhi phika paDa ai mah-jabin
mera bhi aashiqon mein ab shumar KHatm hua
kisi ne honTon pe rakh di hain ungliyan apni
ab is se aage mera iKHtiyar KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.