dhulegi waisi suhulat se bad-gumani kahan
dhulegī vaisī suhūlat se bad-gumānī kahāñ
ab ābnā-e-ta'alluq meñ itnā paanī kahāñ
vo haal hai ki ġhanīmat haiñ lafz bhī varna
tirā dilāsa kahāñ merī rā.egānī kahāñ
barā-e-nām-o-nishāñ rah ga.e kināre mire
bahāo meñ jo ravānī thī vo ravānī kahāñ
bichhaḌne vaale na mujh se bichhaḌ muravvat meñ
uThā.e phirtā rahūñgā ye mehrbānī kahāñ
'zahīr' hotī to kyoñ pūjtā maiñ peḌoñ ko
falak se dhuup mayassar thī sā.ebānī kahāñ
dhulegi waisi suhulat se bad-gumani kahan
ab aabna-e-ta'alluq mein itna pani kahan
wo haal hai ki ghanimat hain lafz bhi warna
tera dilasa kahan meri raegani kahan
bara-e-nam-o-nishan rah gae kinare mere
bahao mein jo rawani thi wo rawani kahan
bichhaDne wale na mujh se bichhaD murawwat mein
uThae phirta rahunga ye mehrbani kahan
'zahir' hoti to kyon pujta main peDon ko
falak se dhup mayassar thi saebani kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.