dhund hi dhund hai raste mein jahan tak jaun
dhund hī dhund hai raste meñ jahāñ tak jā.ūñ
raushnī tere ta.āqub meñ kahāñ tak jā.ūñ
merī auqāt kahāñ maiñ bhī makīñ dekh aa.uuñ
bas yahī baat baḌī hai ki makāñ tak jā.ūñ
aql kahtī hai tirī saarī tag-o-dau be-sūd
dil kahe ishq meñ be-sūd ziyāñ tak jā.ūñ
ain-mumkin hai judā.ī kī ghaḌī Tal jaa.e
dil kā farmān hai maiñ hadd-e-gumāñ tak jā.ūñ
lazzat-e-dīd kā iz.hār kahāñ mumkin hai
aañkh se gar mile fursat to zabāñ tak jā.ūñ
hosh kho kar jo surūr aa.e use kyā karnā
kūcha-e-hosh se kyoñ shahr-e-muġhāñ tak jā.ūñ
zabt ke band 'hidāyat' maiñ kahāñ tak bāñdhūñ
chashm-e-tar dard-ba-kaf dasht-e-fuġhāñ tak jā.ūñ
dhund hi dhund hai raste mein jahan tak jaun
raushni tere taaqub mein kahan tak jaun
meri auqat kahan main bhi makin dekh aaun
bas yahi baat baDi hai ki makan tak jaun
aql kahti hai teri sari tag-o-dau be-sud
dil kahe ishq mein be-sud ziyan tak jaun
ain-mumkin hai judai ki ghaDi Tal jae
dil ka farman hai main hadd-e-guman tak jaun
lazzat-e-did ka izhaar kahan mumkin hai
aankh se gar mile fursat to zaban tak jaun
hosh kho kar jo surur aae use kya karna
kucha-e-hosh se kyon shahr-e-mughan tak jaun
zabt ke band 'hidayat' main kahan tak bandhun
chashm-e-tar dard-ba-kaf dasht-e-fughan tak jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.