dhund ka aankhon par hoga parda ek din
dhuñd kā āñkhoñ par hogā pardā ik din
ho jā.eñge ham sab be-chehrā ik din
jis muTThī meñ phuul hai us ko band rakho
khil kar ye jugnū ban jā.egā ik din
āñkheñ mal mal kar dekheñge ḳhvāb hai kyā
aise rañg dikhā.egī duniyā ik din
chāñd-sitāre kahīñ Dubo.e jā.eñge
ḳhushbū par lag jā.egā pahrā ik din
ho jā.eñge ḳhatm ḳhazāne ashkoñ ke
yuuñ niklegā apnā dīvāla ik din
us ke paas ugā do koī aur daraḳht
peḌ ye ho jā.egā hariyālā ik din
dhund ka aankhon par hoga parda ek din
ho jaenge hum sab be-chehra ek din
jis muTThi mein phul hai us ko band rakho
khil kar ye jugnu ban jaega ek din
aankhen mal mal kar dekhenge KHwab hai kya
aise rang dikhaegi duniya ek din
chand-sitare kahin Duboe jaenge
KHushbu par lag jaega pahra ek din
ho jaenge KHatm KHazane ashkon ke
yun niklega apna diwala ek din
us ke pas uga do koi aur daraKHt
peD ye ho jaega hariyala ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.