dhund ko rasta kare koi
dhund ko rāsta kare koī
haq kisī kā adā kare koī
maut us kī hai zindagī us kī
aa ke duniyā meñ kyā kare koī
chāhtī huuñ ki jiit jā.ūñ maiñ
par na haare ḳhudā kare koī
toḌ de pattharoñ se paanī ko
ab to mujh ko rihā kare koī
ab na aa.egā koī paiġhambar
ab na aisī duā kare koī
dhund ko rasta kare koi
haq kisi ka ada kare koi
maut us ki hai zindagi us ki
aa ke duniya mein kya kare koi
chahti hun ki jit jaun main
par na haare KHuda kare koi
toD de pattharon se pani ko
ab to mujh ko riha kare koi
ab na aaega koi paighambar
ab na aisi dua kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.