dhund si kahani likh
dhund sī kahānī likh
lafz lafz faanī likh
ret ret hoñToñ par
buuñd buuñd paanī likh
aag sī ibārat ke
phuul se ma.ānī likh
ḳhanjaroñ kī dhāroñ par
marg-e-nā-gahānī likh
raat aur sitāre ko
raah aur nishānī likh
jism likh samundar ko
mauj ko javānī likh
āḳhirī thakan ke naam
pahlī kāmrānī likh
dhund si kahani likh
lafz lafz fani likh
ret ret honTon par
bund bund pani likh
aag si ibarat ke
phul se maani likh
KHanjaron ki dhaaron par
marg-e-na-gahani likh
raat aur sitare ko
rah aur nishani likh
jism likh samundar ko
mauj ko jawani likh
aaKHiri thakan ke nam
pahli kaamrani likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.