dhundlahaTon mein gum the jo manzar chamak gae
dhuñdlāhaToñ meñ gum the jo manzar chamak ga.e
merī nazar se kitne hī parde sarak ga.e
is sāya-e-badan meñ Thahar jaa.eñ ab to ham
be-nām manziloñ ke tajassus meñ thak ga.e
ye kis ke ġham kī aañch se pighlā hai sang-e-dil
āñkhoñ se merī aaj phir aañsū Tapak ga.e
ḳhud ko talāsh kar ki haiñ tujh meñ haqīqateñ
un kī taraf na dekh jo sū-e-falak ga.e
kāñToñ kī fasl hai mirī rāhoñ kā pairahan
vo rāste kidhar haiñ jo phūloñ se Dhak ga.e
ujḌe badan sañvar na sake yuuñ to dosto
bāġhoñ meñ rut javān huī phal bhī pak ga.e
dhundlahaTon mein gum the jo manzar chamak gae
meri nazar se kitne hi parde sarak gae
is saya-e-badan mein Thahar jaen ab to hum
be-nam manzilon ke tajassus mein thak gae
ye kis ke gham ki aanch se pighla hai sang-e-dil
aankhon se meri aaj phir aansu Tapak gae
KHud ko talash kar ki hain tujh mein haqiqaten
un ki taraf na dekh jo su-e-falak gae
kanTon ki fasl hai meri rahon ka pairahan
wo raste kidhar hain jo phulon se Dhak gae
ujDe badan sanwar na sake yun to dosto
baghon mein rut jawan hui phal bhi pak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.