dhul aankhon mein paDi ho jaise
dhuul āñkhoñ meñ paḌī ho jaise
har koī aur koī ho jaise
saa.e ke saath lage rahte haiñ
ye bhī apnā hī koī ho jaise
paañv phailā.e paḌī hai ummīd
muddatoñ pau na phaTī ho jaise
apnī har baat pe hotā hai gumāñ
ham ne pahle bhī kahī ho jaise
hañsne lagte haiñ to dhamkātī hai
zindagī ham se baḌī ho jaise
dard ko ajnabī kahne vaale
tū ne āvāz na dī ho jaise
pau phaTe ḳhush haiñ ki vo aa.egā
aaj kī raat abhī ho jaise
haa.e vo niiñd uḌātī āñkheñ
ḳhvāb meñ umr kaTī ho jaise
is tarah aayā hai milne mujh se
mujh se milte hī banī ho jaise
har kisī chehre se uThtī hai lapak
shahr meñ aag lagī ho jaise
dil meñ utre to chhupā kar rakhiye
raat hiire kī kanī ho jaise
hijr kī raat aur 'ashk' itnī sust
vaqt kī choT lagī ho jaise
dhul aankhon mein paDi ho jaise
har koi aur koi ho jaise
sae ke sath lage rahte hain
ye bhi apna hi koi ho jaise
panw phailae paDi hai ummid
muddaton pau na phaTi ho jaise
apni har baat pe hota hai guman
hum ne pahle bhi kahi ho jaise
hansne lagte hain to dhamkati hai
zindagi hum se baDi ho jaise
dard ko ajnabi kahne wale
tu ne aawaz na di ho jaise
pau phaTe KHush hain ki wo aaega
aaj ki raat abhi ho jaise
hae wo nind uDati aankhen
KHwab mein umr kaTi ho jaise
is tarah aaya hai milne mujh se
mujh se milte hi bani ho jaise
har kisi chehre se uThti hai lapak
shahr mein aag lagi ho jaise
dil mein utre to chhupa kar rakhiye
raat hire ki kani ho jaise
hijr ki raat aur 'ashk' itni sust
waqt ki choT lagi ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.