dhul miTTi gard ne suni faza aabaad ki
dhuul miTTī gard ne suunī fazā ābād kī
ḳhaak par kunjī dharī thī ḳhāna-e-barbād kī
sar-nigūñ mehrāb ye TuuTī muñDereñ bām-o-dar
taaq meñ phailī huī sargoshiyāñ ajdād kī
maiñ nahīñ pahuñchā to tere naqsh-e-pā ne der tak
raah ke patthar se sūkhī ghaas se fariyād kī
DhūñDhtā phirtā hai aksar yaad kī galiyoñ meñ dil
ūñghtī jamunā kināre shaam allahabad kī
zaḳhm risne lag gayā jab ḳhuun ālūda kaḌī
qaidiyoñ ne halqa-e-zanjīr se āzād kī
dhul miTTi gard ne suni faza aabaad ki
KHak par kunji dhari thi KHana-e-barbaad ki
sar-nigun mehrab ye TuTi munDeren baam-o-dar
taq mein phaili hui sargoshiyan ajdad ki
main nahin pahuncha to tere naqsh-e-pa ne der tak
rah ke patthar se sukhi ghas se fariyaad ki
DhunDhta phirta hai aksar yaad ki galiyon mein dil
unghti jamuna kinare sham allahabad ki
zaKHm risne lag gaya jab KHun aaluda kaDi
qaidiyon ne halqa-e-zanjir se aazad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.