dhul par qadmon ki hai tazin-kari ai hawa
dhuul par qadmoñ kī hai taz.īn-kārī ai havā
rakh bachā kar hai ye terī zimmedārī ai havā
maiñ ba-dast-e-mausam-e-gul huuñ vahī ik muTThī ret
munkashif hai tujh pe merī ḳhāksārī ai havā
peḌ paude sar-nigūñ haiñ maar se terī magar
bhuul mat abr-e-karam kī pāsdārī ai havā
dhuup kā sonā luTā kar kho gayā sūraj magar
ab bhī raste par hai us kī tāb-kārī ai havā
nisf shab sunsān pagDanDī pe raushan sham’-e-jism
saiñkaḌoñ manzar barahna ek naarī ai havā
kis kī shah par kashtiyāñ ġharqāb kartī hai batā
haath meñ kis ke hai mauj-e-iḳhtiyārī ai havā
dhul par qadmon ki hai tazin-kari ai hawa
rakh bacha kar hai ye teri zimmedari ai hawa
main ba-dast-e-mausam-e-gul hun wahi ek muTThi ret
munkashif hai tujh pe meri KHaksari ai hawa
peD paude sar-nigun hain mar se teri magar
bhul mat abr-e-karam ki pasdari ai hawa
dhup ka sona luTa kar kho gaya suraj magar
ab bhi raste par hai us ki tab-kari ai hawa
nisf shab sunsan pagDanDi pe raushan sham’-e-jism
sainkaDon manzar barahna ek nari ai hawa
kis ki shah par kashtiyan gharqab karti hai bata
hath mein kis ke hai mauj-e-iKHtiyari ai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.