DhūñD kar pyaar ke guhar laanā
dil kī gahrā.ī se na Dar jaanā
phuul ban kar na itnā itrānā
jaane kis din paḌe bikhar jaanā
dekh kar vo ḳhud apnā ā.īna
apnī sūrat na aap pahchānā
dil kī dhartī ke ḳhushk hoñToñ par
pyaar kī ek buuñd barsānā
dekhiye mere dil ke sāġhar meñ
ġharq hai zindagī kā mai-ḳhāna
kī raqam ḳhuun se ġhazal tum ne
'raaj laa.e ho ḳhuub nazrāna
DhunD kar pyar ke guhar lana
dil ki gahrai se na Dar jaana
phul ban kar na itna itrana
jaane kis din paDe bikhar jaana
dekh kar wo KHud apna aaina
apni surat na aap pahchana
dil ki dharti ke KHushk honTon par
pyar ki ek bund barsana
dekhiye mere dil ke saghar mein
gharq hai zindagi ka mai-KHana
ki raqam KHun se ghazal tum ne
'raj lae ho KHub nazrana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.