DhunD len hum ko hamari jo KHabar rakhte hain
DhūñD leñ ham ko hamārī jo ḳhabar rakhte haiñ
ham ko dekheñ vo agar husn-e-nazar rakhte haiñ
vāqif-e-rāh haiñ manzil kī ḳhabar rakhte haiñ
kuchh samajh soch ke ham azm-e-safar rakhte haiñ
aañkh ko vaqf-e-sar-e-rāhguzar rakhte haiñ
ḳhaak hone ke liye zauq-e-nazar rakhte haiñ
ishq aur ishq meñ ik shān-e-asar rakhte haiñ
husn kī aañkh mohabbat kī nazar rakhte haiñ
ab vo āñkhoñ se samajh lete haiñ hasrat dil kī
chashm-e-bad-dūr nigāhoñ pe nazar rakhte haiñ
un ke jalvoñ kī haqīqat to unhīñ se pūchho
ham to bijlī ke chamakne kī ḳhabar rakhte haiñ
ik kashish hai ki jo khiñche liye jaatī hai hameñ
varna dīvāne bhī manzil kī ḳhabar rakhte haiñ
dūr-andeshī-e-ulfat ne kiyā hai mohtāt
ham nigāhoñ meñ tirī rāhguzar rakhte haiñ
ek markaz pe simaT aa.ī hai duniyā-e-jamāl
kis kī tasvīr ko ham pesh-e-nazar rakhte haiñ
dil-lagī ishq kī hai husn kā sanjīda mazāq
ham ko dhokā hai ki ham dard-e-jigar rakhte haiñ
dekh leñge tire jalve bhī jo fursat hogī
ham abhī dil kī tajallī pe nazar rakhte haiñ
adab-e-husn hai varna ye mohabbat vaale
sehr āñkhoñ meñ ḳhayāloñ meñ asar rakhte haiñ
aaj kis bazm meñ le aa.ī hai taqdīr 'munīr'
ki farishte bhī mire sāmne sar rakhte haiñ
DhunD len hum ko hamari jo KHabar rakhte hain
hum ko dekhen wo agar husn-e-nazar rakhte hain
waqif-e-rah hain manzil ki KHabar rakhte hain
kuchh samajh soch ke hum azm-e-safar rakhte hain
aankh ko waqf-e-sar-e-rahguzar rakhte hain
KHak hone ke liye zauq-e-nazar rakhte hain
ishq aur ishq mein ek shan-e-asar rakhte hain
husn ki aankh mohabbat ki nazar rakhte hain
ab wo aankhon se samajh lete hain hasrat dil ki
chashm-e-bad-dur nigahon pe nazar rakhte hain
un ke jalwon ki haqiqat to unhin se puchho
hum to bijli ke chamakne ki KHabar rakhte hain
ek kashish hai ki jo khinche liye jati hai hamein
warna diwane bhi manzil ki KHabar rakhte hain
dur-andeshi-e-ulfat ne kiya hai mohtat
hum nigahon mein teri rahguzar rakhte hain
ek markaz pe simaT aai hai duniya-e-jamal
kis ki taswir ko hum pesh-e-nazar rakhte hain
dil-lagi ishq ki hai husn ka sanjida mazaq
hum ko dhoka hai ki hum dard-e-jigar rakhte hain
dekh lenge tere jalwe bhi jo fursat hogi
hum abhi dil ki tajalli pe nazar rakhte hain
adab-e-husn hai warna ye mohabbat wale
sehr aankhon mein KHayalon mein asar rakhte hain
aaj kis bazm mein le aai hai taqdir 'munir'
ki farishte bhi mere samne sar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.