DhunD leta hai nai rahguzar sham ke baad
DhūñD letā hai na.ī rāhguzar shaam ke baa'd
ḳhatm hotā nahīñ sūraj kā safar shaam ke baa'd
yād-e-māzī kabhī sone nahīñ detī us ko
apnī taqdīr pe rotā hai khañDar shaam ke baa'd
ek hī rang meñ kab tak maiñ sajā.ūñ ġhazleñ
jāgtā hai ka.ī rangoñ meñ hunar shaam ke baa'd
jis ne har gaam pe zālim kī himāyat kī hai
ghar meñ rah kar bhī use lagtā hai Dar shaam ke baa'd
din to kaT jaatā hai bāzār kī zīnat ban kar
dil pe tanhā.ī kā hotā hai asar shaam ke baa'd
be-qusūroñ ke makānoñ se dhuāñ uThtā hai
aag ban jaatī hai dañgoñ meñ ḳhabar shaam ke baa'd
ḳhush karūñ kis ko maiñ 'sāhil' kise nārāz karūñ
sochnā paḌtā hai jā.ūñ maiñ kidhar shaam ke baa'd
DhunD leta hai nai rahguzar sham ke ba'd
KHatm hota nahin suraj ka safar sham ke ba'd
yaad-e-mazi kabhi sone nahin deti us ko
apni taqdir pe rota hai khanDar sham ke ba'd
ek hi rang mein kab tak main sajaun ghazlen
jagta hai kai rangon mein hunar sham ke ba'd
jis ne har gam pe zalim ki himayat ki hai
ghar mein rah kar bhi use lagta hai Dar sham ke ba'd
din to kaT jata hai bazar ki zinat ban kar
dil pe tanhai ka hota hai asar sham ke ba'd
be-qusuron ke makanon se dhuan uThta hai
aag ban jati hai dangon mein KHabar sham ke ba'd
KHush karun kis ko main 'sahil' kise naraaz karun
sochna paDta hai jaun main kidhar sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.