DhunD leti hain koi mahtab sa manzar kahin
DhūñD letī haiñ koī mahtāb sā manzar kahīñ
jāgtī rahtī haiñ āñkheñ ḳhvāb ke andar kahīñ
Daal lete haiñ bhalā zanjīr-e-ishrat paañv meñ
taan kar chalte haiñ sar par dard kī chādar kahīñ
is ḳhayāl-e-nāz meñ hotā hai shab bhar jāgnā
ek kaif-e-hijr meñ hogā mirā bistar kahīñ
dil ke andar chupke chupke jāgtī hai be-kalī
shor kartī haiñ havā.eñ jism ke bāhar kahīñ
aañkh meñ bedāriyoñ kī dhuul girtī jā.egī
āsmāñ sar par uThā.eñge mah-o-aḳhtar kahīñ
har sadā-e-naġhma hai āvāza-e-mahshar mujhe
dil laraztā hai badal jaa.e na ye manzar kahīñ
DhunD leti hain koi mahtab sa manzar kahin
jagti rahti hain aankhen KHwab ke andar kahin
Dal lete hain bhala zanjir-e-ishrat panw mein
tan kar chalte hain sar par dard ki chadar kahin
is KHayal-e-naz mein hota hai shab bhar jagna
ek kaif-e-hijr mein hoga mera bistar kahin
dil ke andar chupke chupke jagti hai be-kali
shor karti hain hawaen jism ke bahar kahin
aankh mein bedariyon ki dhul girti jaegi
aasman sar par uThaenge mah-o-aKHtar kahin
har sada-e-naghma hai aawaza-e-mahshar mujhe
dil larazta hai badal jae na ye manzar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.