DhunDe na mera dil kisi gham-KHwar ka saya
DhūñDe na mirā dil kisī ġham-ḳhvār kā saaya
mil jaa.e agar aap kī dīvār kā saaya
is andhe kueñ se jo nikal kar koī dekhe
aatā hai nazar dhuup meñ ashjār kā saaya
zarḳhez hai miTTī usī shādāb zamīñ kī
jis par hai kisī abr-e-guhar-bār kā saaya
Dartā huuñ ki sun kar mire ash.ār-e-dil-afgār
paḌ jaa.e na is par ġham-o-afkār kā saaya
jab tak nahīñ marne kā ye ik jazba-e-īsār
phailā hai saroñ par rasan-o-dār kā saaya
aatā huuñ maiñ kar do shab-e-tīra ko ḳhabar-dār
siine meñ chhupā.e hue anvār kā saaya
luuTā na maza husn-e-nazar kā kabhī us ne
utrā na kabhī nargis-e-bīmār kā saaya
jiinā bhī hai mushkil ki 'ziyā' rahtā hai sar par
har lahza laTaktī huī talvār kā saaya
DhunDe na mera dil kisi gham-KHwar ka saya
mil jae agar aap ki diwar ka saya
is andhe kuen se jo nikal kar koi dekhe
aata hai nazar dhup mein ashjar ka saya
zarKHez hai miTTi usi shadab zamin ki
jis par hai kisi abr-e-guhar-bar ka saya
Darta hun ki sun kar mere ashaar-e-dil-afgar
paD jae na is par gham-o-afkar ka saya
jab tak nahin marne ka ye ek jazba-e-isar
phaila hai saron par rasan-o-dar ka saya
aata hun main kar do shab-e-tira ko KHabar-dar
sine mein chhupae hue anwar ka saya
luTa na maza husn-e-nazar ka kabhi us ne
utra na kabhi nargis-e-bimar ka saya
jina bhi hai mushkil ki 'ziya' rahta hai sar par
har lahza laTakti hui talwar ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.