Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDh jugnu koi zulmat ko miTane wala

Musavvir Firozpuri

DhunDh jugnu koi zulmat ko miTane wala

Musavvir Firozpuri

MORE BYMusavvir Firozpuri

    DhūñDh jugnū koī zulmat ko miTāne vaalā

    ab to sūraj se añdherā nahīñ jaane vaalā

    har kisī ko na dikhā apne ġhamoñ ke zevar

    kāñch aañkh meñ aañsū nahīñ aane vaalā

    mere ahbāb mire haal pe rote haiñ magar

    kaash hotā koī girte ko uThāne vaalā

    tere chehre pe jo raunaq hai mire ishq se hai

    sirf ġhāze se nahīñ nuur ye aane vaalā

    in ujāloñ ke talabgār to sab haiñ lekin

    hai koī ḳhuun charāġhoñ ko pilāne vaalā

    terī tasvīr kabhī terā badal ho na sakī

    sirf rañgoñ meñ nahīñ husn samāne vaalā

    apne dāman meñ duāoñ ke ḳhazāne bhar lo

    phir ye darvesh nahīñ lauT ke aane vaalā

    DhunDh jugnu koi zulmat ko miTane wala

    ab to suraj se andhera nahin jaane wala

    har kisi ko na dikha apne ghamon ke zewar

    kanch ki aankh mein aansu nahin aane wala

    mere ahbab mere haal pe rote hain magar

    kash hota koi girte ko uThane wala

    tere chehre pe jo raunaq hai mere ishq se hai

    sirf ghaze se nahin nur ye aane wala

    in ujalon ke talabgar to sab hain lekin

    hai koi KHun charaghon ko pilane wala

    teri taswir kabhi tera badal ho na saki

    sirf rangon mein nahin husn samane wala

    apne daman mein duaon ke KHazane bhar lo

    phir ye darwesh nahin lauT ke aane wala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now