Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDhna milna bichhaDna kahin khona ruk jae

Rakhshanda Naved

DhunDhna milna bichhaDna kahin khona ruk jae

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    DhūñDhnā milnā bichhaḌnā kahīñ khonā ruk jaa.e

    ye jo hotā hai tabī.at meñ ye honā ruk jaa.e

    ġham bad-rūh se kuchh aur tavaqqo kyā ho

    raat ke pichhle pahar us ye ronā ruk jaa.e

    phir vahī māh-e-guzishta se na hoñge hālāt

    phir kisī nanhe se bachche khilaunā ruk jaa.e

    ik marz dil liye phirtā hai āzār ka.ī

    khānā piinā na rahe chain se sonā ruk jaa.e

    dāstāñ yuuñ ho qalam-band ki phir raḳhshanda

    jo tire saath huā auroñ se honā ruk jaa.e

    DhunDhna milna bichhaDna kahin khona ruk jae

    ye jo hota hai tabiat mein ye hona ruk jae

    gham ki bad-ruh se kuchh aur tawaqqo kya ho

    raat ke pichhle pahar us ka ye rona ruk jae

    phir wahi mah-e-guzishta se na honge haalat

    phir kisi nanhe se bachche ka khilauna ruk jae

    ek marz dil ka liye phirta hai aazar kai

    khana pina na rahe chain se sona ruk jae

    dastan yun ho qalam-band ki phir raKHshanda

    jo tere sath hua auron se hona ruk jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now