DhunDhta hai tu aasman mein kya
DhunDhta hai tu aasman mein kya
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
DhūñDhtā hai tū āsmān meñ kyā
koī terā nahīñ jahān meñ kyā
uf ye sannāTā dil ke āñgan meñ
koī rahtā nahīñ makān meñ kyā
ab jo vo muskurā ke miltā hai
tiir joḌā hai phir kamān meñ kyā
mujh se kyoñ merā haal pūchho ho
kuchh kamī paa.ī ān-bān meñ kyā
rozī mehnat se vo kamāne lagā
kuchh nahīñ aatā ab lagān meñ kyā
be-sabab bad-zabān boltā hai
jhol hai us ke ḳhāndān meñ kyā
phuul se us ke muñh se jhaḌte haiñ
bolā vo 'mīr' kī zabān meñ kyā
apnī manzil na pā sake 'bebāk'
kuchh kamī rah ga.ī uḌaan meñ kyā
DhunDhta hai tu aasman mein kya
koi tera nahin jahan mein kya
uf ye sannaTa dil ke aangan mein
koi rahta nahin makan mein kya
ab jo wo muskura ke milta hai
tir joDa hai phir kaman mein kya
mujh se kyon mera haal puchho ho
kuchh kami pai aan-ban mein kya
rozi mehnat se wo kamane laga
kuchh nahin aata ab lagan mein kya
be-sabab bad-zaban bolta hai
jhol hai us ke KHandan mein kya
phul se us ke munh se jhaDte hain
bola wo 'mir' ki zaban mein kya
apni manzil na pa sake 'bebak'
kuchh kami rah gai uDan mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.