DhunDhta hun sar-e-sahra-e-tamanna KHud ko
DhūñDhtā huuñ sar-e-sahrā-e-tamannā ḳhud ko
maiñ ki samjhā thā kabhī rūh-e-tamāshā ḳhud ko
apne bachchoñ kī taraf ġhaur se jab bhī dekhā
kitne hī rañgoñ meñ bikhrā huā paayā ḳhud ko
aur kuchh log mire saa.e tale sustā leñ
girtī dīvār huuñ detā huuñ sahārā ḳhud ko
nuur tū mujh se farāvāñ huā mahfil mahfil
ġham nahīñ sham-e-sifat maiñ ne jalāyā ḳhud ko
reg-e-ummīd ke shādāb sarāboñ ke tufail
maiñ ne dekhā hai kabhī sūrat-e-sahrā ḳhud ko
merī azmat kā nishāñ merī tabāhī kī dalīl
maiñ ne hālāt ke sāñche meñ na Dhālā ḳhud ko
merī taḳhlīq mire kaam na aa.ī 'ārif'
maiñ ba-andāz-e-ḳhudā paatā huuñ tanhā ḳhud ko
DhunDhta hun sar-e-sahra-e-tamanna KHud ko
main ki samjha tha kabhi ruh-e-tamasha KHud ko
apne bachchon ki taraf ghaur se jab bhi dekha
kitne hi rangon mein bikhra hua paya KHud ko
aur kuchh log mere sae tale susta len
girti diwar hun deta hun sahaara KHud ko
nur tu mujh se farawan hua mahfil mahfil
gham nahin sham-e-sifat main ne jalaya KHud ko
reg-e-ummid ke shadab sarabon ke tufail
main ne dekha hai kabhi surat-e-sahra KHud ko
meri azmat ka nishan meri tabahi ki dalil
main ne haalat ke sanche mein na Dhaala KHud ko
meri taKHliq mere kaam na aai 'arif'
main ba-andaz-e-KHuda pata hun tanha KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.