DhunDhta phirta hai kabe mein sanam hai ki nahin
DhūñDhtā phirtā hai ka.abe meñ sanam hai ki nahīñ
ai dil-e-nādāñ tujhe pās-e-haram hai ki nahīñ
phir vahī barq-e-tabassum ḳhirman-e-dil par girī
aap hī kahiye ki ye zulm-o-sitam hai ki nahīñ
ai masīhā-e-zamāna ye batā detā mujhe
jo jigar meñ dard hai mere vo kam hai ki nahīñ
jo ḳhalish bechain kar detī hai mujh ko baar baar
aap ke siine meñ bhī vo soz-e-ġham hai ki nahīñ
mere saaqī maiñ nahīñ aatā ghaTā le aa.ī hai
dekhūñ tū bhī mā.il-e-lutf-o-karam hai ki nahīñ
ab ke rahbar jo banā.eñ to parakh kar dekh leñ
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam hai ki nahīñ
paḌ ke hāthoñ meñ zamāne ke zarā 'hamdam' batā
zindagī vaqf-e-alam mashq-e-sitam hai ki nahīñ
DhunDhta phirta hai kabe mein sanam hai ki nahin
ai dil-e-nadan tujhe pas-e-haram hai ki nahin
phir wahi barq-e-tabassum KHirman-e-dil par giri
aap hi kahiye ki ye zulm-o-sitam hai ki nahin
ai masiha-e-zamana ye bata deta mujhe
jo jigar mein dard hai mere wo kam hai ki nahin
jo KHalish bechain kar deti hai mujh ko bar bar
aap ke sine mein bhi wo soz-e-gham hai ki nahin
mere saqi main nahin aata ghaTa le aai hai
dekhun tu bhi mail-e-lutf-o-karam hai ki nahin
ab ke rahbar jo banaen to parakh kar dekh len
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam hai ki nahin
paD ke hathon mein zamane ke zara 'hamdam' bata
zindagi waqf-e-alam mashq-e-sitam hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.