DhunDhte kya ho aasmanon mein
DhūñDhte kyā ho āsmānoñ meñ
chāñd biktā hai ab dukānoñ meñ
rā.egāñ justujū-e-ḳhushbū hai
phuul bante haiñ kār-ḳhānoñ meñ
laḌkiyāñ haiñ bas utnī hī āzād
machhliyāñ jitnī martabānoñ meñ
is jahāñ se nikal ke ham jaise
aa ga.e terī dāstānoñ meñ
'ishq meñ hī to hai ḳhudāvandī
kuchh nahīñ aartī azānoñ meñ
ek golī thī santare vaalī
aaTh miltī thiiñ chaar aanoñ meñ
ek tum hī nahīñ ho TuuTe hue
aur bhī haiñ sharāb-ḳhānoñ meñ
ik ghuTan bārhā bulātī hai
dil sukūñ DhūñDhtā haiñ gānoñ meñ
tere bin jī na pā.ūñgī 'armān'
ek āvāz aa.ī kānoñ meñ
DhunDhte kya ho aasmanon mein
chand bikta hai ab dukanon mein
raegan justuju-e-KHushbu hai
phul bante hain kar-KHanon mein
laDkiyan hain bas utni hi aazad
machhliyan jitni martabanon mein
is jahan se nikal ke hum jaise
aa gae teri dastanon mein
'ishq mein hi to hai KHudawandi
kuchh nahin aarti azanon mein
ek goli thi santare wali
aaTh milti thin chaar aanon mein
ek tum hi nahin ho TuTe hue
aur bhi hain sharab-KHanon mein
ek ghuTan barha bulati hai
dil sukun DhunDhta hain ganon mein
tere bin ji na paungi 'arman'
ek aawaz aai kanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.